Alfaaz kam hain teri tareef ke liye...
tu noor-e -chashm hai mujh ghareeb ke liye
------------------------------------------------------------------------------
Gul-e-shab kee tarah khilti hai har raat,
subah murjha jati hai,
khwabon ko khushnuma kar deti hai,
khayalon ko ghamzada kar deti hai,
kitna tadpati hai, jab bhee teri yaad aati hai…
------------------------------------------------------------------------------
Teri hansi aye dost
sab khushi mere jahan ki
Tera husn teri shokhi
daulat hai ye kahan ki
Tujhse roshan hai meri duniya,
tu roshni aasman ki
Tu phool kis chaman ka,
bahaar gulistan ki
Tu naseeb ho hamara,
hai khwahish yehi khuda ki…
(maqtab)
------------------------------------------------------------------------------
Kitne dilo me dhadakti ho, dhadkan ban ke
Kiske aangan me barsogi sawan ban ke
Jeene ka kuchh ehsaas mujhe bhee ho,
meri saanso me bas jao jeevan ban ke.
------------------------------------------------------------------------------
Teri hasrat ne diya hai matlab zindagi ka,
Haasil karna tujhe, hai ab maqsad zindagi ka.
------------------------------------------------------------------------------
Khush hona tha ke sar-e-mehfil unhone dosti se nawaza humko,
Par kya karen ki dil liye baitha hai inkaar-e-ulfat ke gham ko.
------------------------------------------------------------------------------
Wo bhee karenge yaad, yehi sochta raha mai
Wo khud hi karenge baat, yehi sochta raha mai
Beete kai din-o-raat, yehi sochta raha mai
Kab hogi mulaqaat, yehi sochta raha mai
Chale gaye karke wo kisi aur ka saath,
Bas sochta raha mai…
------------------------------------------------------------------------------
Hamdard koi nahi
aaine se baat karte hain,
Hamraaz koi nahi
dil me har raaz rakhte hain,
Humsafar koi nahi
saaye ke saath chalte hain
------------------------------------------------------------------------------
Ye aawara khwahishen,
ye tanha safar mera
aabad sab jehan hai,
veeran hai shahar mera.
------------------------------------------------------------------------------
Manzil hasraton ki jab
saamne aayi nazar
to dil kiya ke laut lein
ke safar bahut haseen tha.
------------------------------------------------------------------------------
Jisko nishan-e-manzil samajh
Nikle the poore josh me
Wo patthar tha hazaron meel ka
Do pal thahar ke chal diye
Ke manzil abhi bhee door hai.
------------------------------------------------------------------------------
Jis jawab ki talash thi
Aakhir mil gaya humein
Par andaz ye jawab ka,
Ke hum khud sawal ban gaye.
------------------------------------------------------------------------------
Nigah-e-karam aaj phir idhar hai,
Shayd fir se bahar aane ki khabar hai.
------------------------------------------------------------------------------
Khushiyan har taraf hain
Fir bhee ek chubhan see mann me hai
Kya reh gaya karna haasil,
Kya kami jeevan me hai.
------------------------------------------------------------------------------
Zara si chot se,
wo behaal hue jaate hain,
Mar ke bhee jinke haathon,
hum khamosh jeeye jaate hain.
------------------------------------------------------------------------------
Ye kahani bhee yehi khatam ho gayi,
Manzil tak aate aate raat ho gayi
Bhatakte rahe andhere me raat bhar,
Subah jo dekha to na raaste hi mile,
Manzil bhee na jaane kahan kho gayi.
------------------------------------------------------------------------------
Wo bhee kya din the jab wo saath hote the,
apne haathon me unke haath hote the
Halaat yehi din raat hote the
wo muskurate the hamari besabab baaton pe
jab god me unki hum sar rakh ke sote the.
------------------------------------------------------------------------------
Hansta chehra ghulab ho jaye
Gar rukh se alagh ye neqaab ho jaaye,
Teri nazron se gire do ashq agar
Saada paani bhee sharaab ho jaaye.
------------------------------------------------------------------------------
Badi shiddat se miltee hain char saanse
Jeene ke liye
Husn-o-mohabbat ko rakhiye door humse,
Waqt yunhi kam mila hai
Peene ke liye.
------------------------------------------------------------------------------
Anjuman-e-husn ka sabse haseen gul hai tu
Har shay me dikhe aqs tera
Har saans me shaamil hai tu
Tareef insano ki to zamana karta hai
Mai samajhta hun ke
Ibaadat ke kaabil hai tu.
------------------------------------------------------------------------------
Jinki aahat se khul jati hai
Neend aadhi raat ko
Bin kahe mehsoos kiya hai
Jinke dil ki har baat ko
Hame hi khushfahmi hai unse mohabbat ki
Ya wo bhee samajhte hain
is be-intaha jazbaat ko.
------------------------------------------------------------------------------
Mere har lamhe ki khushi teri
Jaan se pyari dosti teri
Aye dost teri zindagi
Ka har pal ho haseen
Khuda se bas yehi dua hai meri.
------------------------------------------------------------------------------
Is qadar aawara hai hasratein dil ki
Ke nishan mere kadmon ke
Har taraf nazar aate hain
Is qadar tanha hai magar ye zindagi
Ke roz ke milne waale bhee
Kuchh ajnabee nazar aate hain.
------------------------------------------------------------------------------
Aaj tu saath hai
Ye kya kam khushi ki baat hai
Umra bhar saath dene ke liye
Tere saath beete
Ek ek lamhe ko sameta hai
Jo dil me rahenge
Teri yaad ban kar
Veeran sannato me chehkenge
Teri aawaz ban kar.
------------------------------------------------------------------------------
Tera saath ek jhooti ummeed hi sahi
Par isi ummeed pe hum jiye jaate hain
Ye ummeed bhee toot jaayegi ek din
Baad us din ke kyun jiyenge hum
Isi khayal me din raat piye jaate hain
------------------------------------------------------------------------------
Yaad is qadar kyun aata hai koi
Har raat ek khwaab mehkata hai koi
Taras gayi hain nazre uske deedar ko
Is haal se hamare befikr jiye jaata hai koi
------------------------------------------------------------------------------
Kisi raat mai bhee kabhi
Chain se sona chahta hun
Kisi kandhe par rakh ke sar
Is dard ko rona chahta hun
Berukhi jis beraham ne di hai pal pal
Har baaki pal ke liye
Mai usika hona chahta hun
------------------------------------------------------------------------------
Khwahishon ko dil ki aise
Kyun hawa di aapne
Jo aag bujh chuki thee kai saal pehle
Wo aag kyun dobara
Jala di aapne
Matlab nahi tha koi jab mujhse aapko
Kyun khele meri khushi se
Kya yun hi mazak me
------------------------------------------------------------------------------
Saal ek aur beet gaya kal raat
Dil ki girah me reh gayi wo dil ki baat
Hausla kiya hai ke naye saal me dard ka izhaar hoga
Ab bhee na keh sake to sadiyon ka intezaar hoga
------------------------------------------------------------------------------
Ek lamhe ne umra bhar ke sapno ko fanah kar diya
Dard ka izhaar kya kiya humne koi gunaah kar diya
------------------------------------------------------------------------------
Is dil ki wadiyon me ab khaak ud rahi hai
Behta yehin tha pehle ek aashiqi ka dariya (ashok)
Ye khaak hai un palon ki jo beete teri talab me
Ab jeete hain tere gham me ye khaak hi hai zariya
------------------------------------------------------------------------------
Dil me chhupa ke dard ko apne
Ab har pal hanste rehna hai
Gunaah kiya jo ishq kiya humne
Anjaam is gunah ka
ab umar bhar sehna hai
------------------------------------------------------------------------------
Tumhaare gham ki dali bana ke
Zubaan pe rakh li hai dekho maine
Ye katra katra pighal rahi hai
Mai katra katra hi jee raha hun (gulzar)
Nasha ye maye ka hi nahi hai khaali
Mai saath ansoo bhee pee raha hun
Kyun saans ab bhee chal rahi hai
Kis ummeed me ab bhee jee raha hun
------------------------------------------------------------------------------
Ashq teri yaad me bahate rahe jo raat bhar
Kyun zaya kiye armaan-e-dil hazaar
Aakhir bahe wo raat bhar
------------------------------------------------------------------------------
Taare aaj bhee toot ke girte hain aasma se
Lekin ab nahi maangte hum tujhko khuda se
Manga karte hai teri khushi har baar sanam
Meri nahi...na sahi
Teri taqdeer pe hi kuchh asar to ho dua se
------------------------------------------------------------------------------
Aaj raat nahi aayegi fir neend ye lagta hai
Koi kaise is qadar azeez ho sakta hai
Aankh lage to khwab hi me sahi
Kareeb to aaye wo...
Jiski aankho me basne ko jee karta hai
------------------------------------------------------------------------------
Yehan se kahin bahut door jana chahta hun
Tera saath to kab ka kho diya maine
Kya ummed hai baaki
Ab mai kya paana chahta hun
Yaadon se kahan bhaag saka hai koi
Kyun fir bhee mai tujhe bhulana chahta hun
------------------------------------------------------------------------------
Ye maana is dauraan kuchh saal beet gaye hain
Fir bhee ankho me tera chehra basaye hue hain
Kitabon pe dhool jamne se kahani kahan badalti hai(gulzar)
Mile khoob dilpasand log is safar me
Magar fir bhee ek teri hi kami khalti hai
------------------------------------------------------------------------------
Khoob jashn hua
Khoob rang chala
Kai rango me aaj hum bhee rang gaye
Apna toh daur-e-jashn
teri yaadoon ke sang chala
------------------------------------------------------------------------------
Yehi kehta hun sabse
Tujhe yaad nahi karta
Waqt apna aise barbaad nahi karta
Qaid rakhta hun zehen mein
Tere khayal ko
Dekh na le koi iski udaan ko
Is panchhi ko kabhi mai
Azaad nahi karta
------------------------------------------------------------------------------
Har waqt jo rehte hain aankho me
Ek khwaab ban kar
Mile aaj ek raah me ajnabi jaise
Wo Janaab ban kar
Safar lamba hai
Raahen bhee apni juda ho jayengi kabhi
Kya tab bhee har roz milenge yun hi
Wo aftaab ban kar
------------------------------------------------------------------------------
Kya hua jo wo hame haasil na hue
Guzar ke har imtihan se bhi
Hum unke qabil na hue
Shareek hum unke har ek pal ki khushi me
Ek wo ke kisi shaam
Hamari mehfil me shaamil na hue
------------------------------------------------------------------------------
Kismat ko rote rahen
Aise to hum nahi
Mana wo bedard hai bahut
Par hum bhi kam nahi
Hausla diga de ek pal ko hamara
Unko kya kahen
Waqt me bhi ye dum nahi
------------------------------------------------------------------------------
Wo kehna kisika har safar ke pehle
Ke apna khayal rakhna
Yaad aata hai
Wo dheere se muskurake
Haathon me haath dabake
Ye kehna ke yaad karna
Yaad aata hai
Hum aaj bhee hain ek safar me
Ek anjaan shahar me
Kyun aaj bhee dobara
Wohi saathi purana
Yaad aata hai
------------------------------------------------------------------------------
Wo kehte hain ye
Ke humne dosti nahi nibhayi
Unse kya kahen
kisne kee bewafayi
hum to razi the har soorat me
har baat pe unki
kisi baat se baat bane
wo soorat nahi aayi
------------------------------------------------------------------------------
Kitni manzilo se aur guzar jana hai
Kahan jaati hai ye raah
Mujhe kidhar jana hai
------------------------------------------------------------------------------
Unhe nahi ye ehsaas
Ke koi jeeta hai kaise
Bina unke har din
Uska beeta hai kaise
Nahi jinka koi marham
Un zakhmo ko apne
Wo seeta hai kaise
Behta na dekh le koi
Ek katra bhee kahin
Har ansoo ko apne
Wo peeta hai kaise
------------------------------------------------------------------------------
Is raah se guzre
Musafir kai magar
Wo jo aaye
Aur bas gaye zehen me
Na aaye fir nazar
Kyun taqte hain
Unki raah hum aise
Kyun ishq hai is qadar
------------------------------------------------------------------------------
Dekh liya karte hain
Aqsar use ek nigah bhar ke
Kya jaane kab chal de
Wo gul is chaman ko tanha kar ke
------------------------------------------------------------------------------
Adhuri kahaniyo ki kitab si ye zindgi
Veerane me uns ke bheege ghulab si ye zindgi
Be sabab be-maqsad be-taab si ye zindgi
Bahat toh nahi khalti
par hai to kuchh kharab si ye zindgi
------------------------------------------------------------------------------
Is udaas shaam me koi kami to hai
Do pal hi di thee aapne
Us haseen shaam ko
Khalti hai jo aaj hame
Wohi khushi to hai
------------------------------------------------------------------------------
Dil teri yaadon ka
Koi naya bahana dhoondta hai
Wo bekhud sa panchhi
Ek ujaad chaman me
Koi aashiyana dhoondta hai
Arsa beet gaya phir bhee
Har guzarti raah pe
Usi shokh nazar ko
Wo kyun rozana dhoondta hai
------------------------------------------------------------------------------
Din to guzar jata hai
Duniya ki fikr me
Par aankho me na beete
Wo raat nahi aati
Yaad kiya karte hain
Wohi din raat sanam
Yaad tere siva
Koi baat nahi aati
------------------------------------------------------------------------------
Raah chalte yunhi kahin
Wo mil jaayen to kya kahiye
Chale the saath magar
Badal gayi raahen to kya kahiye
Nahi hai baaki koi baat
Agar kahiye to kya kahiye
Darr hai kuchh baat na ho
Deedar ki arzoo bhi hai
Agar mil jaaye to dua kahiye
Jo na mil paye to khuda kahiye
------------------------------------------------------------------------------
Arse baad aaj fir aankh lagi hai
Fir chala hai bawra mann dekhne ek sapna
Sukoon ke do pal jo apne liye mile the
Unh bhee mann chahta hai tere naam karna
------------------------------------------------------------------------------
Ashqon ka kahan
Koi mol hai yehan
Besabab behte hain
Fizul hi jaate hain
Keemat yehan sirf paise ki hai
Jhooti hi sahi
Khushiyan to laate hain
------------------------------------------------------------------------------
Yun hota ke wo saath hote
To kuchh aur baat hoti
Wohi haseen din raat hote
To kuchh aur baat hoti
Armaan mere na bekaar hote
To kuchh aur baat hoti
------------------------------------------------------------------------------
Ajab sa rishta hai
Mera is dard se
Ek pal kabhi tanha mujhe
Wo chhodta nahi
Kabhi mai hi usse bhula dun
To mooh modta nahi
------------------------------------------------------------------------------
Takte the dar apna
Ke thak ke intezaar se
Bojhal hui palken
Khwabo ne kiya
Rukh mere mann ka
Raat ki raah pe chalke
Mile kuchh dost purane
Kuchh Hamsafar...
Beete hue kal ke
Wo bhee the wahin magar
Chale gaye bacha ke nazar
Kuchh door se
Raah badal ke
------------------------------------------------------------------------------
Wo raaten jo humne
Guzari rote rote
Bechain si un raaton ka
Hisaab kisse maangen
Khaali hai mera jaam
Hosh hai abhi baaki
Rooth gaya saaqi
Sharab kisse maangen
------------------------------------------------------------------------------
Qaatil adayen mere yaar ki
Saazish hain dil lubhane ki
Dilkash hai agar fareb itna
Khwahish hai dil aazmane ki
------------------------------------------------------------------------------
Kya kahen aapki tareef me jenaab
Ke jo lafz aate hain zehen me
Haal-e-dil bayan karte hain
Aadatan jala karte hain
Jo jugnuon ki tarah
Wo bechare kabhi
Izhaar kahan karte hain
------------------------------------------------------------------------------
Ye jo aag si hai seene me
Deti hai maza kuchh jeene me
Pyaase hi rahe kisi ke
Nazar-e-karam ko hum
Warna kya rakkha hai peene me
------------------------------------------------------------------------------
Dard ab bardasht ke bahar jaa raha hai
Utthti girti saanso me bas wohi ek naam aa raha hai
Ye aaghaz hai qayamat ka
Ya mohabbat ka anjaam aa raha hai
------------------------------------------------------------------------------
Kisi din dhadkano ki raftar
hadd se guzar jayegi
Shayd tab dil ko qarar aa jayega
Shayad tab haalat sudhar jayegi
------------------------------------------------------------------------------
Wo ehsaas jo tumne jagaya hai dil me
Us haseen dard ko anjaam kaun dega
Jaag utthi ye qashish ye beqarari mujh me
Pyaas toh jagaa di mujhme ab jaam kaun dega
------------------------------------------------------------------------------
Apne hi gham se khelna
Chup rehna
Hans ke har zakhm jhelna
Kya kahen isse
Aadat hai apni
Haarna har baazi
Har baazi khelna
------------------------------------------------------------------------------
Mere bardasht ki inteha abhi baaki hai
Sitam kuchh aur karo doston
Ke mujh me jaan abhi baaki hai
------------------------------------------------------------------------------
Ye ummeed hai teri ke jawab nahi deti
Wo nasha teri nazar me jo sharab nahi deti
------------------------------------------------------------------------------
Wo jo khwabo me milte hain
Falak se bhee door kahin
Unko kabhi to meri tadap ki sada si milti hogi
Ab to kar ke dekh hi le koshish
Kahin to ye zameen aasman se milti hogi
------------------------------------------------------------------------------
Teri ek ek yaad ko dil ki kitaab me darz kar rakha hai
Humne to apni jaan ko tera hi karz kar rakha hai
Ye karz kisi roz tere sajde me ada karna hai
Jee liye bahat tere bin,
Ab aazma ke dekh len kya tere bin marna hai
------------------------------------------------------------------------------
Aawargi rehbar ho jiski
Uska koi humsafar kahan hota hai
Baahon ka sukoon kahan usse haasil
Darakhto ke saaye me tanhaa wo sota hai
------------------------------------------------------------------------------
Zeher ke bujhe teer jaise ye alfaaz aap ke
be-raham besabr talkh ye andaaz aap ke
jo ittefaqan mil gaye hum aaj to ye lagta hai...
in dino kuchh badal se gaye hain mizaaz aap ke
------------------------------------------------------------------------------
Kuchh dosto.n ki ummeedei.n...
ek apni aarzoo, tamaam hai.n kaam
thoda waqt aur dena hamei.n khudaa
kahee.n ye umr kam naa ho
------------------------------------------------------------------------------
Khushiyaan nahi naa sahi
dard hee de, ilzaam to de
naa kar doston me shumaar magar
dushman ka mujhe naam to de
------------------------------------------------------------------------------
Ye khamoshi hi jawaab hai tere sawaal ka
main kaise kahu ke tujhse abb waasta kya hai
har raah se thokar khaa aaya hu iss gali
tere dar ki su jo naa jaun to aur raasta kya hai
jo rukhsaaro pe uske dekhi ek boond ashq ki
to bechain kyun na hote ke ye daastaa.n kya hai
jinki bahaar rahi ho kabhi tere rukh ki ye shokhi
unke dekhne ko aakhir ye gulistaa.n kya hai
------------------------------------------------------------------------------
Bayaa.n nahi kiya haal-e-dil kabhi lekin wo yaqeena bakhoobi janti hai
dard ka ehsaas na ho magar sheeshe ke tootne ki sadaa pehchanti hai
------------------------------------------------------------------------------
Kuchh din to baso meri aankho me
phir khwaab agar ho jaao to kya....
(obaid ullah aleem)
Koi aas to aane ki do mujh ko
phir aansoo hi ban kar aao to kya
Wo khushbu ab bhi hai zehen me mere
tum kisi aur ka ghar mehkao to kya
------------------------------------------------------------------------------
Gunaah hai, gunaah hi hai ye ishq warnaa
sazaa yu.n khuda kisi masoom ko nahi deta
------------------------------------------------------------------------------
Mai.n bhee rota bahat ke dard itna thaa
hota gar ye ehsaas ke koi hamdard hai mera
------------------------------------------------------------------------------
|
(Colourbox.com) |
Mujhe ehsaas hai ke wo mujhse aashna nahi hai
dil-e-bechain ki magar bas ek panaah wo hi hai
------------------------------------------------------------------------------
Ye hi nahi hai tumhaari hasrato.n ki manzil 'maqtab'
badhte chalo ke aage maqaam aur bhee hai.n
------------------------------------------------------------------------------
Tamaam umr hum is khayaal me zinda rahe
wo aashna hai humee se takmeel chaahe ho na ho
------------------------------------------------------------------------------
Jagah dil me banaa ke khaali nishaa.n chhod jaana
gar ye dosti ka sabab hai toh dushman hi acchhe
------------------------------------------------------------------------------
Tum mujhse naaraz chaahe ho jao
par khud se khafaa naa ho
yu.n nafrat karne lago khud hi se
kisi se itna bhee gila naa ho
------------------------------------------------------------------------------
Zulm kar ke meri dosti ka imtihaa.n yu.n naa lo aye dost
tum tum na rahoge meri hadd-e-bardaasht aane tak
------------------------------------------------------------------------------
Kisi khilonay see seerat hai mere dil ki...
main unhe khelne deta hu, wo tod dete hai.n
------------------------------------------------------------------------------
Iqraar hai ye ahi ya taqraar hai,
hukam samjhe.n ya iltizaa samjhe.n...
bahat dilchasp hai khamoshi teri...
tu hi bataa isse kya samjhe.n
------------------------------------------------------------------------------
Sunaya bahat afsaana-e-ishq hamaara zamaane me usne
magar kabhi yu.n naa hua ke kirdaaro.n ka sahi naam liya ho
------------------------------------------------------------------------------
Sar phootne se kyun ab yun bad-mizaaz hai.n janaab
bardaasht gar itni na thee, patthar se aashna kyun hue
------------------------------------------------------------------------------
Abb mehsoos nahi hota koi ranj, koi shikwaa nahi hai
na raqeeb na sanam, mehfil me koi bachaa nahi hai
------------------------------------------------------------------------------
Tere inkaar ka gham mere izhaar ke baad
talkh dhoop ka girna narm bauchhaar ke baad
------------------------------------------------------------------------------
Doston se mujhe zyada ummeedein toh nahi thee
koii kabhi yaad kare bhee toh shikwaa koii na ho
------------------------------------------------------------------------------
Iss jehaa.n me ek aaine si haisiyat hai meri...
log aate hain apna chehra dekh ke chale jaate hain
------------------------------------------------------------------------------
Toota jo khwaab to aankho.n me namii si thee...
so naa sake phir raat bhar dhadkan bhi thami si thee
------------------------------------------------------------------------------
Rukte ho thahar-te ho palat-te ho...
phir mud ke chale jaate ho
kuchh to baat hai janaab
is mod pe abb aqsar nazar aate ho
------------------------------------------------------------------------------
Ek wo hi thaa jo kabhi sukoo.n deta tha hame.n
ab wo hasee.n soorat nazar nahi aati
ye tere maalik ki duniya nahi rahi aye dost
yehan shaam to aati hai...seher nahi aati
------------------------------------------------------------------------------
Ek hasee.n imaarat humne bhee banayi hai
sang-e-marmar toh nahi hai...
saath behti jamuna ka sukoo.n bhee nahi
kuchh tukde jode hai.n yaado.n ke
kuchh ehsaaso.n ki dhoop mehkayi hai
------------------------------------------------------------------------------
Dekho ho saktaa hai usne peechhe se pukara ho
bahat naaraz hai wo..magar dost hai mera
------------------------------------------------------------------------------
Fursat hee nahi deta gham-e-duniya saara din
jugnuo.n se armaa.n mere har shaam jal jaate hain
------------------------------------------------------------------------------
Matt chhedo ke ye saaz-e-dard-e-jigar hai
jo sada aayegi ashqo.n mei.n bahaygi
ye zikr na karnaa aainda kabhi yu.n
ke sard hawa guzri ek daastaa.n kahaygi
------------------------------------------------------------------------------
Hasrat-e-deedar-e-yaar ko nikle the ghar se
hasratein hazaar aur hui.n bas deedar bhar se
------------------------------------------------------------------------------
Ye ummeed, ye arzoo, ye talab...ye teri chaahat
maana kam nahi diya khuda ne...
magar ye diya kya hai??
------------------------------------------------------------------------------
Ye wafaa ki sakht rahein, ye tumharay pao’n naazuk….
Na lo intiqaam mujh se, mere sath sath chal ke
-(anonymous)
ab bhee waqt hai munasib, ye raaste badal lo...
rishtaa rakkho naa hum se, na gham se ashq chhalke.n
------------------------------------------------------------------------------
Shama jalte jalte bujh jayegi kabhi
Kali phhool banegi, murjhayegi kabhi
Ye subah hogi roshan, dhal jayegi kabhi
jo pal humne khushiyan baant kar bitaye
unn palon ki yaadein hame phir aayengi kabhi
mausam nahi jo badle, ye shama nahi jo pighle
yaadein hain sanam ki, ye naa jayengi kabhi
------------------------------------------------------------------------------
Tujhe paa liya hai ab bhee nahi hota ye yaqeen,
hum qaabil naa the hum pe ye inaayat jo hui
darr lagta hai is qadar teri aadat bhi na ho
tu hamein tadapta chhod ke chala jaaye kahin
------------------------------------------------------------------------------
Tu muskura deti hai jab uss khaas adaa se
hum ho jaate hain duniye se kuchh judaa se
Tujhe paa kar yun mehsus ki hai zindagi humne
maange bhee to aur kya maange ab khuda se
------------------------------------------------------------------------------
Hari chudiyo ka wo tukdaa jo toota thaa teri kalai se
ab bhee chhupa rakkha hai aangan ke kisi kone me
Tere surkh lahu ke jo chheente the wo toh sookh gaye
uss kaanch ki chubhan abhi baaki hai kahin mujhme